subah subah uthkar woh bag jamana..
bhaagte bhaagte school ko jaana..!!
mummy ka tiffin banana..
break se pehle hi use khaali karna..!!
defaulter ban class ke bahar khade hona.
ghanti ke bajte hi bhaag jaana..!!
ab sapna sa lagta hai..
board exam ki woh tayyariyan..
garmi ki chuttiyon ki classes..
together with ki woh books..
ladkiyon ke badalte hue looks..
woh teri waali woh meri waali ke jhagde..
school ke bahar badhte lafde..
sab sapna sa lagta hai...
maths physics chemistry mein hi jeena..
din bhar dpp aur sheets se behta paseena..
night suit mein school jaana..
aadhe ghante mein annual xam niptana..
subah subah padhne uthna..
poha jalebi kha wapis so jaana...
ab sapna sa lagta hai..
woh formals pehen sabko intro dena..
apne hothon se hasi ko pochna...
raat raat bhar gaming karna..
fir agle din tut guss karna..
oasis bosm mein chaati haryali..
khetri..dhaaba aur pahadi..
sab sapna sa lagta hai..
ab to beet gaye kayi arse..
ab ye sapna hi apna sa lagta hai..
hadd hadd!!! super like!!! proud of u bhai mere!! kaash apan bhi aise likh sakte!!
ReplyDeletemast taru nice ,,,
ReplyDeletekeep it going ...
nice one man!sab yaad aagaya in kuch lines mein..
ReplyDeleteTook into the world of nostalgia..!!
ReplyDeletebahut hiiiiiiiiiii sahi..!!!!
Nice Taru!!! too good :) .... kismat wale hai hum jinhe aise sapne mile ...kash aisa sapne har hindustan ke bachche ko mile....sorry for taking this beautiful poem in the serious note
ReplyDelete@pratishtha bhabhi.
ReplyDeletebaat to ekdum sahi kahi hai...nd sahi bat mein koi sry nahi..
@all..
dhanyawaad!! :D :D